Wednesday, July 30, 2014

Ghanti!!!

Kabhi Nahi Socha Tha
Aisa bhi din Aayega
Apni bhi bajegi ghanti
Kisi Mohtarma pe dil aayega

Shaan se kehta tha sabko
Aisa filmon main hi hota hai
Bhala aaj ke is daur main
Love at first sight kahan hota hai

Isi confidence ke saath
Apni hi duniya main khoya tha
Skukravaar shaam ko bhi
Khud ko kaam main duboya tha

Tabhi baja intercom 
aur humne phone uthaya
Kaano main jab padi unki aawaz
Maano khud ko swarg main paaya

Unko tha kuch humse Kaam 
Isiliye hamara number tha lagaya
Pehli baar Aisa laga 
Mera Kaam Mere hi Kaam Aaya

Phir woh aaye hamare Paas
Aakar sirf Bole Hi
Dil zor se dhadka unko dekhte hi
Maano din main taare nazar aaye

Unki us muskaan pe 
Ho Gaye the Hum fida
Aankhon ki shararat se
Unhone hamara katal kiya 

Us ek Mulakaat ne 
Zindagi ke maiyene badal diye
Linear Chal Rahi thi life 
Woh entry maar exponential Kar diye 

Kabhi Nahi Socha Tha
Aisa bhi din Aayega
Apni bhi bajegi ghanti
Kisi Mohtarma pe dil aayega....

(DEDICATED TO TJ)








Friday, March 28, 2014

Pratibimb


Office se ghar laut raha tha
Zindagi ke kis mukaam par pahuncha
Iska andaaza laga raha tha

Tabhi gaadi ko laga jhatka
mere saamne aaina aaya
Khudko sheeshe main dekh
Ek gehri soch main paya

Kya Jo saamne dikha
Woh mera hi pratibimb tha
Waqt ne mujhe kitna badla
Iska ab mujhe ilm tha

Bachpan se lekar ab tak
sirf mehnat karni seekhi thi
Kaam ke bal par
Apni pehchaan banani seekhi thi

Jo Maine chaaha
Woh sab paaya tha
Life ki har race main
Hamesha awwal number aaya tha

Peechey mudkar dekhta Hun toh
Ab tak ka safar bahut haseen tha
Big Boss ko thank you bolne ka
Issey achcha time nahin tha

Kuch hi Samay bacha tha ab
Fir woh din aaney waala tha
Umra ki ginti main
Ek aur saal badhne Wala tha

Sab dost log bole beta tum budha gaye ho
kya tumhe andaaza hai
Tum apna achcha samay
Peechey chhodkar aa gaye ho

Par jo bhi saal beeta tha
ussey maine kuch naya seekha tha
Sheeshey main apney pratibimb ko nahi
Aaj se behtar kal ko dekha tha....



Wednesday, September 05, 2012

Sale-oo Ki Zindagi


Hum Naa Hain Hindu Naa Muslim
Naa Hain Sikh aur Naa Isaai
Hamari toh Jaati upar Waale ne
Sales Ki Hai Banayi

Sale-oo hum Pyaar se Kehlaate hain
Number ko apna dharam
Target ko Bhagwan Banate hain

Hamari muskaan waqt ki mohtaj hai
Mahine ki shuruaat main hum
Laughter Challenge ki Archana
Toh month end main Devdas hain

Hum sab ka ek zero ROI plan Hai
Jisme salary ka 30% yogdaan hai
Yeh Sales Incentive plan Kahata hai
Koi sales Wala isko nahi Kamata hai

Hum Boss se Khaate hain
Team Ko Banate Hain
Retailer ko Chhod do
Woh Hamare Mai Baap Kehlate Hai

Upar Neechey Aagey Peechey
Humen Kahin se bhi Lagayen
Jiska Jab Jee Chaahe
Aakar Humko Bajaayen

Kandhe Hamare jhuke Honge
Chehre se hum Thake toote honge
Fir bhi hum aage badhte jaate hain
Isiliye hum sale-oo Kehlaate hain








Wednesday, March 07, 2012

Full Circle - Is It....

Around 6 Years have passed since my first post on this blog. That is like a lot of water under the bridge.

Mumbai, Bhubaneswar, Cuttack, Kolkata, Delhi, Kolkata and now down south.

SPJIMR ----> Airtel -----> Marico


Wow..... Has been quite a journey.... Made some friends for life in the last six years - some names - right - well only the ones in the Top Quadrant -

- Japes and Babes
- Debu
- AK
- Shreyas
- Andy
- Moghe

On the professional front - learnt a lot - specially from Sanjeev Boss, Tanna Sahab, Subbu Boss.

Well 5 years can't be written down in one night or in one post.... Will try and update frequently as I can....

Friday, April 29, 2011

Zindaa Yaa Sharminda ??

Hum Sab Zinda Hain
Apna Aaj pe Sharminda Hain
Har Koi Dusre Ko Dekh Dukhi Hai
Jaise Unke Jeevan Main Sirf Khushi Hai.....

Bacche Sochte Hain Kab Bade Honge
Kab Apne Pairon Pe Khade Honge
School, Padai aur Teacher Ki Tension
Jaldi Sone aur Jaldi Uthne Ki Tension

Hamesha Sabse Gyan Milta Hai
Isko Aise Nahi Waise Karo
Yeh Mat Khao Woh Mat Piyo
Khelo Nahi Padai Karo
Bache Tum Bado Ki Tarah Jiyo

Bade Bacchon ko Dekh Sochte Hain
Hum Kyun Bade Hue
Samay Ko Koste Hain!!!!

Ab Hum Bade Ho Gaye
Apne Pairon pe Khade Ho Gaye
Naukri, Boss aur Promotion Ki Tension
Ghar, Biwi aur Bacchon Ki Tension

Kaash Hum Bade Naa
Aaj Bhi Chhote Bacche Hote
Duniya Ki Bheed Main
Apni Masumiyat Naa Khote......

Yahi Toh Jeevan Ka Chakravyuh Hai
Dusre Ki Zindagi Ke Baare Main
Hamara Point Of View Hai.....

Har Bhasha Main
Yeh Kahavat hai
Dusre Ka Ladoo Khaalis
Hamare Ladoo Main milawat hai....

Neighbour Ki Envy
Owner Ki Pride Nahi Hoti
Har Cheez Jo Chamke
Hamesha Ujala Nahi Karti.....


Isi Liye Kehta Hun......


Hum Sab Zinda Hain
Apna Aaj pe Sharminda Hain
Har Koi Dusre Ko Dekh Dukhi Hai
Jaise Uske Jeevan Main Sirf Khushi Hai.....

(TITLE TO THE POEM GIVEN BY AJITA SINGH :) )......

Sunday, March 06, 2011

Life Ab Tak....

Hum Duniya Main Aaye
Saath Dhero Khushiyan Laaye
Sabke Mukh Pe Muskaan Thi
Aayi Nanhi Si Jaan Thi

Fir Aaye Haathi Aur Ghode
Sab Hamare Aagey Peechey Daudey
Hum The Sabki Aankhon Ka Tara
Mummy-Daddy Ka Raj Dulara

Samay Beeta Hum Hue Bade
Jaane Lage School
Socha Masti Ke Din Hue Poore

Khel Kood Hua Khatam
Ab Humey Padna Tha
School Ke Imtihaan Main
Prashno Se Ladna Tha

Jaisey Chotey Bachey
Bhoot Se Darte Hain
Hamara Wahi Haal
Pareeksha Ke Nateejey Karte Hain

Ek Hi Cheez Se Chain Milta Tha
Khud Ko Tendulkar Maankar
Jab Main Sheeshey Toda Karta Tha

Fir School Hua Khatam
Mano Jaan Main Jaan Aayi
Board ke Kam numberon se
Chotey College Main Admission Payii

College Main Kadam Rakhte Hi
Kaano Main Sangeet Ka Shor aaya
Charon Oar Dekha
Toh Khud Ko Swarg Main Paya

Ek Mohtarma Pe Dil Aaya
Par Senior Ne Patak Ke Giraya
Khoob Ragging Li Gayi
Bola Dekho Naya Hanso Ka Joda Aaya

Hum Se Bhi Naa Raha Gaya
Jabse unse nazren milaya
Teesrey Hi Hafte
Haal e Dil Sunaya

Woh Pehle to Daanti
Fir Thoda Sharmayi
Agley Hi Pal Boli
Darling Tu Chal Main Aayi....

Hum Ban Gaye the Bond
College Main Tha Rudba
Thanks to Bapu ka Paisa
aur meri hot mehbooba

Beet Gaye Teen Saal
Thanks To Mehbooba Ki Zulfen
Sutta aur Cutting Chai
Ab tha Time padhne Ka mere bhai

Ab Hum Maarenge Billi
Banenge Post Graduate
Lenge Salaries Silly Silly

Yeh Bhi Sapna Sach Hua
Kar dikhaya humne woh Kaam
Ban Gaye Hum MBA
Kiya Daddy Ka Bada Naam

Mil Gayi Naukri
Ban Gaye Hum MT
Corporate World Main
Ho Gayi thi hamari entry

Dilli Chhod Diya Humne
Pahunche Hum Pardes
Saleu Ban gaye Hum
Number se hua prem

Teacher ki tarah
Boss bhi Dantata tha
Fark Sirf itna tha
Boss Family Ko Bahut Manta Tha

Teen Saal Ho gaye
Baal Saare Kho Gaye
Log Kehte hain
Hum Ab Experienced Ho Gaye......

Tuesday, May 06, 2008

Kal aur Aaj

khud hi chal si padi hai yeh zindagi
kabhi dhakka diya hi nahi
pahiya khud hi ghume ja raha hai
rasta apna khud hi chune jaa raha hai

haan ab yeh karunga
aagey jaakar yeh fainsla lunga
zindagi ko naya mod dunga
kabhi aisa socha hi nahi

maine sab kuch karna hai
paani ki tarah behna
panchi ki tarah udna
duniya ke har rang main rangna hai

main cheenti ki tarah hoshiyaar nahi
agle pal kya hoga iska aaghaas nahi
us tiddhe ki tarah mast rehna hai
kal main nahi mujhko aaj main jeena hai

mausam apne aap badlenge
jeevan ek paheli kehte hain sab
uske rehasya khud ba khud khulenge

bas toofan main dridh rehna hai
rasta kitna bhi kathin ho
ek baar chun liya
toh aagey badhte jaana hai

kal main nahi
mujhko aaj main jeena hai