Kabhi Ped ki Daali se Patte Ko girte dekha hai
Kabhi baadal se nikli paani ki us boond Ko girte dekha hai
Pata nahi nahi kahan jaakar thamega
Pata nahi kahan ashiana milega
Aise hi chala ja raha hoon main
Pata nahi kis or badha jaa raha hoon main
Koi manzil nahi
Koi theekana nahi
Duniya ki bheed main khoya jaa raha hoon main
Zindagi jaise tham si gayi hai
Hasi hothon par aakar ruk si gayi hai
Dishaheen ban gayi hain saari dishayen
Humne kasme wade saare nibhaye
Fir bhi humko chod chal diye woh
Muh apna mod chal diye woh
Ek pal main humko anjaan kar diya
Ae khuda mohabbat ka kya sila diya…
Aur main… Aur main… Aur main…