Bahut intezaar kiya tha
apna sab kuch laga diya tha
din raat ek kiye the maine
kuch sapne sajoye the maine
par sapna sabka kahan sach hota hai
jisne jo bhi chaha woh use milta hai
sheeshe ke tarah choor ho gaya sab
andheri raat main gum ho gaya sab
par is andheri raat ke aage ujala hai
mujhe koshish kar aage badhte jaana hai
haan kuch khoya hai maine
par aage bahut hai paane ko
avsar hain bahut aage
asmaan pe jaane ko
zindagi aasaan nahi
har pal nayi kasauti hai
kasauti par khara utarna hai
mujhe aage badhna hai
ishwar ne jo kiya theek kiya
mujhe ladne ka haunsla diya
aage naye raaste hain
nayi umange nayi manzile hai
mujhe in raaston pe chalna hoga
phir kahin haar ka samna hoga
par main muh nahi modunga
haar ko jeet banakar chodunga