Tuesday, May 06, 2008

Kal aur Aaj

khud hi chal si padi hai yeh zindagi
kabhi dhakka diya hi nahi
pahiya khud hi ghume ja raha hai
rasta apna khud hi chune jaa raha hai

haan ab yeh karunga
aagey jaakar yeh fainsla lunga
zindagi ko naya mod dunga
kabhi aisa socha hi nahi

maine sab kuch karna hai
paani ki tarah behna
panchi ki tarah udna
duniya ke har rang main rangna hai

main cheenti ki tarah hoshiyaar nahi
agle pal kya hoga iska aaghaas nahi
us tiddhe ki tarah mast rehna hai
kal main nahi mujhko aaj main jeena hai

mausam apne aap badlenge
jeevan ek paheli kehte hain sab
uske rehasya khud ba khud khulenge

bas toofan main dridh rehna hai
rasta kitna bhi kathin ho
ek baar chun liya
toh aagey badhte jaana hai

kal main nahi
mujhko aaj main jeena hai

Saturday, April 12, 2008

do saal aur kuch dost...

aankhon se door ho rahe hain
par dil main jagah bana li hai,
tumhare saath nahi toh kya
yaadon main duniya basa li hai...

Sunday, April 06, 2008

PDF CREDO

Hum khud main khush rehte hain
bhagwaan se darte hain
aur doston ke liye kuch bhi karte hain
apni hi duniya main mast rehte hain

Kya kisi se jhagda karna
kyun kisi ka bura chahna
hum toh meethi baatain karte hain

shanti aur aman main vishwas rakhte hain
nafrat aur gussa nahi
hum toh mohabbat sabse karte hain

jung talwaar aur khanjar se nahi
hum pyaar se jeeta karte hain