khud hi chal si padi hai yeh zindagi
kabhi dhakka diya hi nahi
pahiya khud hi ghume ja raha hai
rasta apna khud hi chune jaa raha hai
haan ab yeh karunga
aagey jaakar yeh fainsla lunga
zindagi ko naya mod dunga
kabhi aisa socha hi nahi
maine sab kuch karna hai
paani ki tarah behna
panchi ki tarah udna
duniya ke har rang main rangna hai
main cheenti ki tarah hoshiyaar nahi
agle pal kya hoga iska aaghaas nahi
us tiddhe ki tarah mast rehna hai
kal main nahi mujhko aaj main jeena hai
mausam apne aap badlenge
jeevan ek paheli kehte hain sab
uske rehasya khud ba khud khulenge
bas toofan main dridh rehna hai
rasta kitna bhi kathin ho
ek baar chun liya
toh aagey badhte jaana hai
kal main nahi
mujhko aaj main jeena hai