Friday, April 29, 2011

Zindaa Yaa Sharminda ??

Hum Sab Zinda Hain
Apna Aaj pe Sharminda Hain
Har Koi Dusre Ko Dekh Dukhi Hai
Jaise Unke Jeevan Main Sirf Khushi Hai.....

Bacche Sochte Hain Kab Bade Honge
Kab Apne Pairon Pe Khade Honge
School, Padai aur Teacher Ki Tension
Jaldi Sone aur Jaldi Uthne Ki Tension

Hamesha Sabse Gyan Milta Hai
Isko Aise Nahi Waise Karo
Yeh Mat Khao Woh Mat Piyo
Khelo Nahi Padai Karo
Bache Tum Bado Ki Tarah Jiyo

Bade Bacchon ko Dekh Sochte Hain
Hum Kyun Bade Hue
Samay Ko Koste Hain!!!!

Ab Hum Bade Ho Gaye
Apne Pairon pe Khade Ho Gaye
Naukri, Boss aur Promotion Ki Tension
Ghar, Biwi aur Bacchon Ki Tension

Kaash Hum Bade Naa
Aaj Bhi Chhote Bacche Hote
Duniya Ki Bheed Main
Apni Masumiyat Naa Khote......

Yahi Toh Jeevan Ka Chakravyuh Hai
Dusre Ki Zindagi Ke Baare Main
Hamara Point Of View Hai.....

Har Bhasha Main
Yeh Kahavat hai
Dusre Ka Ladoo Khaalis
Hamare Ladoo Main milawat hai....

Neighbour Ki Envy
Owner Ki Pride Nahi Hoti
Har Cheez Jo Chamke
Hamesha Ujala Nahi Karti.....


Isi Liye Kehta Hun......


Hum Sab Zinda Hain
Apna Aaj pe Sharminda Hain
Har Koi Dusre Ko Dekh Dukhi Hai
Jaise Uske Jeevan Main Sirf Khushi Hai.....

(TITLE TO THE POEM GIVEN BY AJITA SINGH :) )......

Sunday, March 06, 2011

Life Ab Tak....

Hum Duniya Main Aaye
Saath Dhero Khushiyan Laaye
Sabke Mukh Pe Muskaan Thi
Aayi Nanhi Si Jaan Thi

Fir Aaye Haathi Aur Ghode
Sab Hamare Aagey Peechey Daudey
Hum The Sabki Aankhon Ka Tara
Mummy-Daddy Ka Raj Dulara

Samay Beeta Hum Hue Bade
Jaane Lage School
Socha Masti Ke Din Hue Poore

Khel Kood Hua Khatam
Ab Humey Padna Tha
School Ke Imtihaan Main
Prashno Se Ladna Tha

Jaisey Chotey Bachey
Bhoot Se Darte Hain
Hamara Wahi Haal
Pareeksha Ke Nateejey Karte Hain

Ek Hi Cheez Se Chain Milta Tha
Khud Ko Tendulkar Maankar
Jab Main Sheeshey Toda Karta Tha

Fir School Hua Khatam
Mano Jaan Main Jaan Aayi
Board ke Kam numberon se
Chotey College Main Admission Payii

College Main Kadam Rakhte Hi
Kaano Main Sangeet Ka Shor aaya
Charon Oar Dekha
Toh Khud Ko Swarg Main Paya

Ek Mohtarma Pe Dil Aaya
Par Senior Ne Patak Ke Giraya
Khoob Ragging Li Gayi
Bola Dekho Naya Hanso Ka Joda Aaya

Hum Se Bhi Naa Raha Gaya
Jabse unse nazren milaya
Teesrey Hi Hafte
Haal e Dil Sunaya

Woh Pehle to Daanti
Fir Thoda Sharmayi
Agley Hi Pal Boli
Darling Tu Chal Main Aayi....

Hum Ban Gaye the Bond
College Main Tha Rudba
Thanks to Bapu ka Paisa
aur meri hot mehbooba

Beet Gaye Teen Saal
Thanks To Mehbooba Ki Zulfen
Sutta aur Cutting Chai
Ab tha Time padhne Ka mere bhai

Ab Hum Maarenge Billi
Banenge Post Graduate
Lenge Salaries Silly Silly

Yeh Bhi Sapna Sach Hua
Kar dikhaya humne woh Kaam
Ban Gaye Hum MBA
Kiya Daddy Ka Bada Naam

Mil Gayi Naukri
Ban Gaye Hum MT
Corporate World Main
Ho Gayi thi hamari entry

Dilli Chhod Diya Humne
Pahunche Hum Pardes
Saleu Ban gaye Hum
Number se hua prem

Teacher ki tarah
Boss bhi Dantata tha
Fark Sirf itna tha
Boss Family Ko Bahut Manta Tha

Teen Saal Ho gaye
Baal Saare Kho Gaye
Log Kehte hain
Hum Ab Experienced Ho Gaye......