Friday, March 28, 2014

Pratibimb


Office se ghar laut raha tha
Zindagi ke kis mukaam par pahuncha
Iska andaaza laga raha tha

Tabhi gaadi ko laga jhatka
mere saamne aaina aaya
Khudko sheeshe main dekh
Ek gehri soch main paya

Kya Jo saamne dikha
Woh mera hi pratibimb tha
Waqt ne mujhe kitna badla
Iska ab mujhe ilm tha

Bachpan se lekar ab tak
sirf mehnat karni seekhi thi
Kaam ke bal par
Apni pehchaan banani seekhi thi

Jo Maine chaaha
Woh sab paaya tha
Life ki har race main
Hamesha awwal number aaya tha

Peechey mudkar dekhta Hun toh
Ab tak ka safar bahut haseen tha
Big Boss ko thank you bolne ka
Issey achcha time nahin tha

Kuch hi Samay bacha tha ab
Fir woh din aaney waala tha
Umra ki ginti main
Ek aur saal badhne Wala tha

Sab dost log bole beta tum budha gaye ho
kya tumhe andaaza hai
Tum apna achcha samay
Peechey chhodkar aa gaye ho

Par jo bhi saal beeta tha
ussey maine kuch naya seekha tha
Sheeshey main apney pratibimb ko nahi
Aaj se behtar kal ko dekha tha....