Kabhi Ped ki Daali se Patte Ko girte dekha hai
Kabhi baadal se nikli paani ki us boond Ko girte dekha hai
Pata nahi nahi kahan jaakar thamega
Pata nahi kahan ashiana milega
Aise hi chala ja raha hoon main
Pata nahi kis or badha jaa raha hoon main
Koi manzil nahi
Koi theekana nahi
Duniya ki bheed main khoya jaa raha hoon main
Zindagi jaise tham si gayi hai
Hasi hothon par aakar ruk si gayi hai
Dishaheen ban gayi hain saari dishayen
Humne kasme wade saare nibhaye
Fir bhi humko chod chal diye woh
Muh apna mod chal diye woh
Ek pal main humko anjaan kar diya
Ae khuda mohabbat ka kya sila diya…
Aur main… Aur main… Aur main…
2 comments:
kya baat hai manav.....kitne gahrahi hai tumhari poem mein....but it reflects that u r a loney being....true at some point we r all alone and on our own....but kya tere frds hai appreciate karenge ki u feel so lonely ...inspite of their being there all the time for u.
but truely amzing poem.......
Achi tuk-bazi kar leta ho.Kahan khoya jaa raha hai.Zindigi jeene ka naam hai, jeo aur mauj karo.Koshish karo ki kuch halka-phula likh sako.
Overall, the attempt is good and reveals your acumen for writing.
Post a Comment