Thursday, July 26, 2007

Chaahat...

suraj dhal sa gaya tha
sab kuch tham sa gaya tha
raat ka aalam chaa raha tha
sitaron ke tale nasha sa aa raha tha

aise hi baitha main tumhare intezaar main
kuch se kuch kiye jaa raha tha
zindagi ko tumne naya mod diya tha
berang kaagaz ko jaise rang diya tha

har lamha har pal
main yeh sochta hun
kaise mujhe tumne
jine ka bahana diya tha

tumhari woh khilkhalati hui hasi
woh zulfon ka mathe par girna
woh kajal bhare naina
aur bas us ek pal main jeena

samundar kinare baitha sochta hun
tum bin khud ko hi khojta hun
main bhi ek pal jeena chahta hun
bas us pal main tumhara saath chahta hun...

Friday, July 13, 2007

Akhir Kab Tak ?

Tez... Bahut Tez...
Aage badhna hai sabko
Duniya se ek kadam aage
Chalna hai sabko

raftar ke is nashe main choor hain sab
apno se hi kitne door hain sab
laalach ke nashe main doobe jaa rahe hain
ahem main hi jiye jaa rahe hain

andhiyaara chaa raha hai charon or
naa jane insaan ko kiche hai ab kaisi dor
kaisa hai yeh parivesh koi nahi jaanta
apno ko is duniya main koi nahi pehchanta

chaaron dishaon main hahakaar chaaya hai
manav sanskriti main naya mod aya hai
bamb ke dhamakon se tharra uthe hain sabhi
aasman khoon se laal hone aaya hai

umeed ka daman thame
baithe hain sabhi
us pal ke intezaar main
kab hoga ujiyara
is andheri raat main ????

Thursday, July 05, 2007

Khud Ki Talaash...

aaj kaafi din baad
badli chaai hai
baarish ki boonde
fir dharti par aayi hain

nayi kaliyan naye patte khilne ko hain
panchi khoole aasman main udne ko hain
main bhi ud jaana chahta hoon
naye shikar ko choo jana chahta hoon

aaj fir hasne ko ji chahta hai
umange poore karne ko ji chahta hai
bhed chaal main kahin khoya tha main
aaj khud ki raah pe chalne ko ji chahta hai


kisi kamre main jaise band tha main
aaj bahar nikalne ko ji chahta hai
duniya ke nazare bahut hassen hai
in sabko aankhon main band karne ka ji chahta hai

In reeti riwazon se dum ghoot raha tha mera
aashaaon ke bojh se sir jhook raha tha mera
in bandishon ko tod dena chahta hoon main
aaj khulke saans lena chahta hoon main

yeh zindagi bahut choti si hai
bhanvar main fasi kashti si hai
is kashti ko ab kinaare lagana hai
zindagi ko naye mukaam pe pauhchana hai

aage ki raah kathin hogi
har pal ek nayi chunauti hogi
par mujhe aage badhte jaan hai
zindagi main kuch kar dikhana hai...

Tuesday, July 03, 2007

Dosti...

waqt ke saath sab badal jaata hai
jinka saath tha
unse nata toot jaata hai

sab chal dete hain apni rahon pe
joonjhte hain zindagi ke sawalo se
aise main dost kinko yaad rehte hain
par janaab hum toh apke aas paas hi rehte hain....

woh bhi din the jab ek saath guzaara hota tha
rukhi sukhi khate the hum
par waqt humara hota tha...

aage aap badh diye
hume peeche chod
mudke bhi naa dekha
dil diya humara tod...

apki dosti ke hum aaj bhi kayal hain
aapne bhoola diya toh kya
yeh rishta humari taraf se kayam hai....