suraj dhal sa gaya tha
sab kuch tham sa gaya tha
raat ka aalam chaa raha tha
sitaron ke tale nasha sa aa raha tha
aise hi baitha main tumhare intezaar main
kuch se kuch kiye jaa raha tha
zindagi ko tumne naya mod diya tha
berang kaagaz ko jaise rang diya tha
har lamha har pal
main yeh sochta hun
kaise mujhe tumne
jine ka bahana diya tha
tumhari woh khilkhalati hui hasi
woh zulfon ka mathe par girna
woh kajal bhare naina
aur bas us ek pal main jeena
samundar kinare baitha sochta hun
tum bin khud ko hi khojta hun
main bhi ek pal jeena chahta hun
bas us pal main tumhara saath chahta hun...
2 comments:
bahut sahi .....kya baat hai...manav u rock!!!
kavita ab bahot likh li, kuch kahani bhi likho
Post a Comment