Tuesday, December 18, 2007

Jeevan Ka Doraha

zaroori nahi har cheez
jo tum chaho mil jaye
jivan ke sab rang
indradhanush ban jaye

apna rasta tumne khud chunna hai
kya sahi hai aur kya galat
iska fainsla karna hai

jo kiya woh theek kiya
apne jeevan ko aadhaar diya
majburi ke us lamhe main
tumne dil ka kaha maan liya

jo chhoot gaya
usse bhula do
jis raah pe chal rahe ho
bas uska maza lo...

Monday, December 17, 2007

Dishaheen...

bahut der se chal raha hun
aagey hi aagey badh raha hun
zindagi ke har mod pe
naye saathiyon se mil raha hun

kahan hain jaana mujhe
yeh nahi pata hai
door hai manzil apni
rasta jokhim bhara hai

nadi ke bahaav main
jaise machli behti jaati hai
hava ke rukh main
jaise kashti chalti jaati hai

aisa hi kuch ho raha hai
mere saath bhi
kahan jana hai mujhko
iska nahi koi abhaas bhi

kuch toh hai
jo sirf mera hoga
jisko paane se
mera astitva pura hoga...