Tuesday, December 18, 2007

Jeevan Ka Doraha

zaroori nahi har cheez
jo tum chaho mil jaye
jivan ke sab rang
indradhanush ban jaye

apna rasta tumne khud chunna hai
kya sahi hai aur kya galat
iska fainsla karna hai

jo kiya woh theek kiya
apne jeevan ko aadhaar diya
majburi ke us lamhe main
tumne dil ka kaha maan liya

jo chhoot gaya
usse bhula do
jis raah pe chal rahe ho
bas uska maza lo...

2 comments:

anjali said...
This comment has been removed by a blog administrator.
anjali said...

sahi kya hai, galat kya hai
seedha sa paimana hai
jisse kissi ka bura na ho
bas vahin sahi baki sab bahana hai