Hum Duniya Main Aaye
Saath Dhero Khushiyan Laaye
Sabke Mukh Pe Muskaan Thi
Aayi Nanhi Si Jaan Thi
Fir Aaye Haathi Aur Ghode
Sab Hamare Aagey Peechey Daudey
Hum The Sabki Aankhon Ka Tara
Mummy-Daddy Ka Raj Dulara
Samay Beeta Hum Hue Bade
Jaane Lage School
Socha Masti Ke Din Hue Poore
Khel Kood Hua Khatam
Ab Humey Padna Tha
School Ke Imtihaan Main
Prashno Se Ladna Tha
Jaisey Chotey Bachey
Bhoot Se Darte Hain
Hamara Wahi Haal
Pareeksha Ke Nateejey Karte Hain
Ek Hi Cheez Se Chain Milta Tha
Khud Ko Tendulkar Maankar
Jab Main Sheeshey Toda Karta Tha
Fir School Hua Khatam
Mano Jaan Main Jaan Aayi
Board ke Kam numberon se
Chotey College Main Admission Payii
College Main Kadam Rakhte Hi
Kaano Main Sangeet Ka Shor aaya
Charon Oar Dekha
Toh Khud Ko Swarg Main Paya
Ek Mohtarma Pe Dil Aaya
Par Senior Ne Patak Ke Giraya
Khoob Ragging Li Gayi
Bola Dekho Naya Hanso Ka Joda Aaya
Hum Se Bhi Naa Raha Gaya
Jabse unse nazren milaya
Teesrey Hi Hafte
Haal e Dil Sunaya
Woh Pehle to Daanti
Fir Thoda Sharmayi
Agley Hi Pal Boli
Darling Tu Chal Main Aayi....
Hum Ban Gaye the Bond
College Main Tha Rudba
Thanks to Bapu ka Paisa
aur meri hot mehbooba
Beet Gaye Teen Saal
Thanks To Mehbooba Ki Zulfen
Sutta aur Cutting Chai
Ab tha Time padhne Ka mere bhai
Ab Hum Maarenge Billi
Banenge Post Graduate
Lenge Salaries Silly Silly
Yeh Bhi Sapna Sach Hua
Kar dikhaya humne woh Kaam
Ban Gaye Hum MBA
Kiya Daddy Ka Bada Naam
Mil Gayi Naukri
Ban Gaye Hum MT
Corporate World Main
Ho Gayi thi hamari entry
Dilli Chhod Diya Humne
Pahunche Hum Pardes
Saleu Ban gaye Hum
Number se hua prem
Teacher ki tarah
Boss bhi Dantata tha
Fark Sirf itna tha
Boss Family Ko Bahut Manta Tha
Teen Saal Ho gaye
Baal Saare Kho Gaye
Log Kehte hain
Hum Ab Experienced Ho Gaye......
2 comments:
Nice read Manav Sahni :)
boss tussi chaa gaye ...
Post a Comment