Suraj ki ek kiran Bankar aaie thi woh
Babul ke ghar khushiyon ka sama laai thi woh
Gudde aur Gudia ka khel uska nirala tha
Maa ne usko bade laad pyaar se pala tha
Baba ke sar ki shaan thi woh
Apne bhaiyon ke dilo ki jaan thi woh
Aaj chod chali woh apne babul ka aangan
Piya ki duniya sawarne
Dekho woh baithi hai nanhi si dulhan
apne kal ke intezaar main
Kuch Aashayen, Kuch Umange, Kuch Sapne
Thodi hasi ke pal aur woh rula dene wale lamhe
Ek nayi zindagi main woh kadam rakhne jaa rahi thi
Chodkar bachpan ka daaman ab woh badi hone jaa rahi thi
Naazuk hai woh dor jispar chalna hai usko
Naie rishton ke rang main rangana hai usko
Woh ab chali jaa Rahi hai Yaadien Sameten
Sabki Aankhon main khushi ke Aansu Deke
Soona hai ab babul ka aangan
kahan hai woh khushi bhare lamhe
Suraj ki ek kiran Bankar aaie thi woh
Babul ke ghar khushiyon ka sama laai thi woh
1 comment:
very good one manav.. sahi hai.. way to go dude.. the first poem is too good...
Post a Comment