Thursday, July 05, 2007

Khud Ki Talaash...

aaj kaafi din baad
badli chaai hai
baarish ki boonde
fir dharti par aayi hain

nayi kaliyan naye patte khilne ko hain
panchi khoole aasman main udne ko hain
main bhi ud jaana chahta hoon
naye shikar ko choo jana chahta hoon

aaj fir hasne ko ji chahta hai
umange poore karne ko ji chahta hai
bhed chaal main kahin khoya tha main
aaj khud ki raah pe chalne ko ji chahta hai


kisi kamre main jaise band tha main
aaj bahar nikalne ko ji chahta hai
duniya ke nazare bahut hassen hai
in sabko aankhon main band karne ka ji chahta hai

In reeti riwazon se dum ghoot raha tha mera
aashaaon ke bojh se sir jhook raha tha mera
in bandishon ko tod dena chahta hoon main
aaj khulke saans lena chahta hoon main

yeh zindagi bahut choti si hai
bhanvar main fasi kashti si hai
is kashti ko ab kinaare lagana hai
zindagi ko naye mukaam pe pauhchana hai

aage ki raah kathin hogi
har pal ek nayi chunauti hogi
par mujhe aage badhte jaan hai
zindagi main kuch kar dikhana hai...

2 comments:

Unknown said...

FAB!!!yaar main line dhund rai thi ki kaun si sabse achi hai...jo yahan likhun bt saari poem hi bahut badiya hai...keep it up

Unknown said...

Good effort.Keep it up.You have flair for writing.