kahan tanhaiyon main gum rehte hai janaab
duniya se bichde hue kyun rehte hain aap
koi khabar nahi kya chal raha hai yahan
kisi ki madhosh aankhon main khoye rehte hain aap
aahat hoti hai toh nazre ghum jaati hain
intezaar rehta hai kisi ke aane ka
ladkhadaye nahi aap kabhi mehkhane main
par unki nazron ka nasha itna hai
behoshi ka aalam chaya rehta hai
itna bhi nahi pata yahan kaun apna hai....
duniya bachti hai gulab ke kaanton se
aap patharon pe sej sajai baithe hain
zamane ki parwah nahi ki kabhi
is dard main khud ko hi bhulaye baithe hain.....
kahan tanhaiyon main gum rehte hai janaab
duniya se bichde hue kyun rehte hain aap
1 comment:
beautiful yaar....kahan tanhaiyon main gum rehte hai janaab
duniya se bichde hue kyun rehte hain aap...lovd dis lyn
Post a Comment